Saturday, August 06, 2005

Tumbhi bolo kuch aur saqi /It's your turn to talk

Tumbhi bolo kuch aur saqi
Raat baDi hai aur baqi

Ittne khamosh kyun ho akhir
Baat koi hai zarrur saqi

Khamoshi ka sabab puuchoon
To na dek isstarah aur saqi

Tumhara dil meri amanaat tha
Kya khoaye kahin aur saqi

Aankhen banD beech samundar
Kab tak rahoge aur saqi

Kabhi aao 'sahill' ko to jaanoge
Koi apna hai ek aur baqi

Peena haram, peelana haram
Kar ghunah tuu ek aur saqi

------------------------------------

saqi = host, (sometimes used as metaphor for The-God)
baqi = remaining
sabab= reason
haram = sin