Raahon Pe Nazar Rakhna Honton Pe Duwaa Rakhna
Aa Jaaye Koyi Shayaad Darwaaza Khoulaa Rakhna
Ehsaas Kee Shamma Ko Iss Tarha Jalaa Rakhna
Aapni Bhi Khabar Rakhna Uss Ka Bhi Pata Rakhna
Tanhaai Ki Mausam Mein Saayon Ki Huqoumat Hain
Yaadon Ke Ujaalon Ko Seene Se Lagaa Rakhna
Raaton Ko Bhatakne Ki Deta Hain Sazaa Mujh Ko
Dushwar Hain Pahlu Mein Dil Tere Binaa Rakhna
Logo Ki Nigaahon Ko Parh Lene Kee Aadat Hain
Haalat Kee Tahreere Chehre Se Bachaa Rakhna
Bhuloun Main Agar Aye Dil To Yaad Dilaa Denaa
Tanhaai Ke Lamhon Ka Harr Zakhm Haraa Rakhna
Ik Bound Bhi Ashqon Ki Daman Na Bheegon Paaye
Gham Uss Ki Amaanat Hain Palkon Pe Sajaa Rakhna
Iss Tarha “Qateel” Uss Se Bartaav Rahein Aapnaa
Wo Bhi Na Boura Maane Dil Ka Bhi Kahaa Rakhna
Raahon Pe Nazar Rakhna Honton Pe Duwaa Rakhna
Aa Jaaye Koyi Shayaad Darwaaza Khoulaa Rakhna
-- Qateel Rajasthani
Singers: Bhupinder & Mitalee [ Listen to song here]
[I will translate it as soon as I get some time]